..Subhadra was waiting in front of the temple for Durdhara to complete her circle...but when time passed but princess didn't come she got so worried that she herself went to find her in the back of temple and due to tension she forgot to call Durdhara as princess and took her best friend's childhood name..'Dhara'...and then she found Dhara lying unconscious on the land..it made Bhadra so shocked that her voice became chocked..she ran to Dhara..took her head on her lap and started airing princess with her clothes...
Bhadra : hey ishwar ye kya ho gaya hai Dhara ko...Dhara ankhe kholo...hey visnu bhagwan raksha kijiye hamare rajkumari ka...Dhara utho...
she took water from the tiny silk covered water-bag,always tied with her waste ...and splashed water on Dhara's face...and at last Dhara opened her eyes.
Bhadra : dhanyabad Visnu bhagwan ka ..ap thik ho...apne to humein dara hi diye the...lijiye thora sa pani pi lijiye .ap swasth mehsus karenge...
and she made Dhara drinking water...
Bhadra : ab thik lag raha hai na rajkumari??
Dhara (getting up from Bhadra's lap) :han hum sampurn swasth hai...parantu..vo kahan gaya??
Bhadra : kiske baat kar rahe hai rajkumari..
Dhara : wahi jiske wajah se humari ye dasha hue...wahi uddand vanvasi...
Bhadra (confused): kya uddand vanvasi??
Dhara : han wahi jo subhah hamare mahal mein ghus aya tha...
(and she summarized what made her unconscious)
Bhadra : kya us vanvasi ka itna bada duhsahas k usne apko chua...ap chinta na kare rajkumari hamare sainik use avasya bandi banake apke charan mein upasthit karenge...parantu humein abhi mahal k liye prasthan karna padega..andhakar ho chuka hai...sab chinta kar rahe honge...
Dhara : ekbaar vo hamein mil jaye to hum use samjhayenge..rajkumari k apmaan karne ka kya parinam hota hai...parantu..hum abhi kaise jaye Bhadra hamara pradakshin abhi asamapt hai...
Bhadra : to chaliye rajkumari shigra pradakshin sampurn karte hai..parantu ab main apke sath rahungi...chahe kuch bhi ho jaye apko akele nhi chodenge apse...
and then Bhadra arrenged the plate again and made Dhara complete her circle by holding her tight...
..inside the temple when Digvijay heard the news he was just stunned..and couldn't speak for a while...rajpurohit considered his situation as an effect of unexpected happiness...and he went to give instructions to other priests for the preparation of next day's coronation...
...watching Digvijay...standing in a utterly shocked position Aditya went to him..
Aditya : Digvijay..
but Digvijay didn't response..then Aditya shaked him..and at last Digvijay regained consciousness...
Aditya : kya hua Digvijay...kis chinta mein khoye ho??...
Digvijay : is samay hum tumhe kuch nhi keh sakte Aditya..humein isi samay prasad k lie prasthan karna padega...tum jake sabko is vishay suchit karo...
Aditya : acha tum jaisa thik samjho...
and he went to call others...
Digvijay : pratiharin...pratiharin...
the female bodyguard of princess comes to him..
pratiharin : adesh kijiye yuvraj...
Digvijay : humein abhi isi samay mahal k liye prasthan karna padega...jaise hi rajkumari apni pradakshin pura karke aye..tum Dhara,Bhadra aur rajkumari Kalyani ko leke turant mahal pohuchna...
pratiharin : jo aggya
and she leaves...
Digvijay comes to his friends...he was finding Chandragupta..but Chandragupta was not there...
Digvijay : Chandragupt kahan hai mitron??
Sukant : o to abtak mandir mein pravesh hi nhi kiya...parantu tumhe kya hua Digvijay??..Aditya keh raha tha tum baht chintit ho...
Digvijay : hum baad mein bistar se batayenge..abhi sab log hamare sath mahal k liye prasthan karo...
Shashank : parantu Chandragupt??
Digvijay : tum aur Dakshita jake use dhundo...q k mandir k piche ek chota sa van hai..aur mandir k suraksha hetu kuch vishakt udvid hai uhan..yadi Chandragupt uhan chale jaye to tum dono k hi abashyakta padenge use..
Dakshita : thik hai rajkumar...
Airavat : inhe ye bhi keh do k apas mein ladke samay byatit na kare...
Dakshita : tumhe humko gyan dene ka avashyakta nhi ..hum apne kartavya vali vati jante hai...chaliye vaidji
Shashank for first time followed Dakshita without speaking a word...
Sukant (thinking): hey iswar itni nikat ake bhi hum unse mil nhi paye..hey Vishnu bhagwan daya karna...us soundarya k devi se shigra hamara vet karwana..
Digvijay : Sukant humein bilamb ho raha hai..chalo..
Sukant : han Digvijay chalo...
only few minutes after they left Subhadra with Durdhara entered into temple..and Kalyani ran to them..
Kalyani : are tum log itni derse kahan the?? sab chintit ho gaye the...
Bhadra : vo hum...
Pratiharin came to them...
Pratiharin : rajkumari yuvraj k adesh hai k hum ap sab ko leke mahal k liye turant prasthan kare..
Dhara : isi samay??parantu humari prarthana to abhi pure nhi hue...
Bhadra : nhi rajkumari..apko abhi bisram ki avasyakta hai...aap mahal laut chaliye...aur rahi baat prarthana ki to ap to vo apne man hi man puri kar sakti hai...abhi prasad laut chaliye...
Dhara " acha thik hai...chalo...
Dhara, Kalyani and Bhadra left with pratiharin...
Shashank and Dakshita went in search for Chandragupta but before they didn't have to find much as Chandragupta himself was coming towards the temple.but watching his condition both of them remained spellbound for a while..Chandu's face and clothes are glued with flower petals of various colours and a garland is hanging on his chest...but it seemed he is unaware of his condition..he came and stood in front of them and both of them burst into laughter...
Shashank : hey iswar Chandragupt tumhara ye dasha kisne kiya ..hahahaha
Chandu (getting confused) : dasha kaisi dasha...hum to bilkul swasth hai...
Dakshita ( taking the garland away from Chandu's neck) : han vo to hamein pratit ho raha hai...
Chandu then realized what are they talking about..he was not aware that during the collision with that mad girl the garland from her plate came on his neck...he became embarrassed..and felt thrilled again by recalling the incident...without knowing the reason...
Chandu : are yesab us unmad kanya k karan..
Shashank didn't let him finish
Shashank : kya kaha kanya??..aho bhagya...ek kanya ne hamare Chandragupt ko varmala pehna diya...ye sambad utsav palan k yogya hai..hahahaha
Chandu(confused) : varmala!! ye kya keh rahe ho Shashank??..varmala to vivah k samay pehnaya jate hai...
Shashank (laughing at Chandu's ignorance) : han han vo to hamein gyat hai..parantu hum bhi to sunhe vo bhagyabati kanya kaun hai jise hamare neta unmad kehke sambodhit kar rahe hai...
Dakshita(confusingly thinking) : kahin ye unmad kanya swayam rajkumari hi to nhi...hey iswar yadi aisa hua to kal abhishek tak koi bipatti na aye isiliye ye alochana yehi samapt honi chahiye...
Chandu : are hum keh rahe hai na ye varmala nhi hai..us unmad dasi k sath sangharsh k samay ye uske patra se mere pass a gaya hoga...
Shashank : kanya se sangharsh haha...han tab hi to shastra ke sthan mein komol puspo pallav byabhar kiya gaya hoga..
Shashank perhaps continued further to tease Chandu..but Dakshita interrupted
Dakshita : bas karo Shashank..tum ayu mein chandragupt se jyesth ho..usse aise baat karna tumhe shobha nhi deta...
Shashank : Dakshita..tum sayad bismrit ho rahe ho k chandragupt hamara mitro hai...usse baat karne k liye tumse shiksha lene ki koi avashyakta nhi hai...
Dakshita : avashyakta hai..kyun ke tum shalinta k ullanghan kar rahe ho...
Shashank : acha hum shalinta ullanghan kar rahe hai??aur tum jo ek kanya hoke aise uchha sur mein baat karte ho vo baht shalin hote hai na...
Chandu : are shant ho jao tum dono.kabhi bhi kahin bhi shuru ho jate ho..humne abtak devta k darshan nhi kiya..marg chodo humarein
Shashank : are mandir se yad aya...Digvijay baht padessan dikh rahe the ..vo aur hamare baki sathi prasad k lie nikal chuke hai..aur Digvijay ne hum pr ye daitwa diya hai tumhe dhund k shighratishighra prasad pohuchne k liye
Chandu : acha??aisa kya vipatti an padi??
Shashank : vo to mahal chalke hi pata chalega..ab shighra chalo ..devta darshan kal kar lena..
Dakshita : are ruko..Chandragupt is avastha mein jayega kya??..pehle usse in pusppallav se mukt to karo..
Chandu (became conscious and started shaking his clothes) : vo han abhi saf karti hun..subah rang..shamko phul..pata nhi aur kya kya milna baki hai..
Shashank : kya kaha tum??subah rang shamko phul ..iska arth??
Dakshita : are chandu ho gaya na..ab shighra chalo..baki baat mahal mein chalke karoge...
Shashank (unwillingly) : acha thik hai mahal chalo
three of them stepped towards the horses...and Chandu rided on his one.and started for palace .Shashank was also about to ride but suddenly Dakshita stopped him...
Dakshita : suno Shashank ..
Shashank : ab kya hua..ab bilamb nhi ho raha hai kya...
Dakshita : nhi mahal mein pohuchte hi tum mahatyapurn alochana ko chhorke bhojan k sandhan mein na chale jao isiliye abhi se ye le lo..
and she gives him some sweets and fruits packed by tree liefes
Shashank : ye kya hai??
Dakshita : prasad hai..puja samapt hote hi le liya tha..
and without wasting a second she rided on horse and started for palace leaving Shashank confused
Shashank : ye kanya satya mein hamare samajh k bahar hai..
and he also rided on horse...
Royal Palace
when Chandragupt and his friends along with Digvijay went to visit Rajpur Ambhik stayed in palace as he had to clear something with abhisara king..about the presence of panchnad princess in kamboja...so he met the king with much temper...
Ambhik : humne aapse ye apeksha nhi kia tha abhisara naresh...
Abhisara : aap kis bishay mein baat kar rahe hain gandhar naresh??humne aisa kya kiya??
Ambhik : jaanbujhkar anjan na bane ...humare acharya shukdevne humein viswas dilaya tha k aap hamare mitrata swikar kar chuke hai..aur yehi karan hai jo hum apne mahatyapurn rajkarya chorkar yahan aye hai...parantu yahan to hamein kuch aur hi dikhai de rahe hai...
Abhisara : ye aap kya keh rahe hain gandhar naresh???humne to aapne mitrata k praman aapko de chuke hai sikandar ko sandhipatra bhejke...aur phir ab to gandhar aur kamboj vivah sambandh mein bandhne ja raha hai...
Ambhik : humein lagta hai is vishay pr mujhe punarbibechana karne k avashyakta hai...
Abhisara : parantu kyun Ambhik naresh...aap to rajkumari se bhet kar chuke hai..kya vo aapko pasand nhi ayi??
Ambhik : rajkumari Durdhara atyant sundar hone k sath sath nehayati ahamkari bhi hai...parantu usse humein koi samasya nhi hai..vo hamein ati pasand ayi...humein samasya aapse hai kamboj naresh...
Abhisara : kaunsi samasya spast rup se kahein gandhar naresh...kya apke mitra abhisara se koi anuchit karya ho gaya hai??
Ambhik : mitra??yadi aap hamein apne mitra samajhte hai to humare shatru panchnad k rajkanya apke rajya mein kya kar rahi hai kamboj naresh??
Abhisara : gandhar naresh is choti se bishay mein apko chintit hone k koi avashyakta nhi...ye to bas rajkumar Digvijay k abhishek k liye humein sabhi ke ashirvad aur shubhkamnayein k prayojan hai..aur isi karan sabhi rajya ke sath sath panchnad ko bhi amantranpatra bheja gaya tha...ap nischit rahein gandhar naresh.. panchnad k sath abhisara k isse atirikt aur koi sambandh nhi hai
Ambhik : Ambhik kumar ko budhihin samajhne ka bhul na karein abhisara naresh...hum apke kutniti ko achi tarah samajh rahe hai...parantu itna smaran rakhiye humse shatruta ka arth hai swayam devputra sikandar se shatruta mod lena...aur apko gyat hai na sikandar se shatruta karne ka kya parinam hota hai??
in the meantime Digvijay entered into kings place but as both of abhisara and ambhik were busy in arguing they didn't notice him..but Digvijay lost his temper watching Ambhik talking in a high pitch tone with his father..and couldn't check himself to shut him up
Digvijay : Ambhik kumar ye mat bhooliye ke aap kamboja k atithi hai..aur atithi ka apna ek maryada hota hai...grihaswami k apmaan karke atithi dharm k ullanghan mat kariye
Ambhik : ohh kumar Digvijay aap...to aap humein shikhayenge apne maryada mein kaise raha jate hai??..vo insan jo swayam ek yuvraj ka maryada bhulkar ek tuchha vanvasi k agyakari sevak ban chuka hai vo gandhar naresh ambhik ko unke maryada k rehne k lie keh raha hai???...maharaj Abhisar kadachit yuvraj Digvijay ko abtak ye gyat nhi k hum ek sadharan atithi nhi hai...
Digvijay : hum bhali bhati jante hai k aap kaun hai aur kamboja mein aapko kis dristi se dekha jata hai...parantu aapko ye smaran kara de k kamboja k videshniti pr soch vichar karne ka adhikar kebal maharaj abhisara aur unke putra hone k karan humein hain...aur hamare abhishek pr kise amantrit karna hain aur kise nhi is vishay pr humein paramarsh dene k lie amatyapramukh upasthit hain...humein apke paramarsh ke koi avashyakta nhi...
Abhisara : bas kijiye kumar ..gandhar naresh hamare mahatyapurn atithi hai..unse uchha swar mein baat karke unka apmaan kar rahe hain...
Ambhik : apmaan to aap sabne milke kiya hai hamara..parantu itna smaran rahein ke Ambhik kumar apna apmaan kabhi nhi bhoolta..hum abhi isi kshan kamboja tyag rahe hai
Abhisara : Ambhik aap hamare atithi hain..apse uchha swar mein baat karne k liye humare putra k taraf se hum kshama chahte hai...parantu yadi aap isi kshan kamboja tyg denge to apki shatru ko yehi sandesh pohuchenge kamboja se aapki mitrata samapt ho chuke hai..aur ye aapke bhi hit mein nhi honge...gandhar naresh...
Ambhik (a little bit convinced) : keh to tum satya rahe ho..parantu itna smaran kara de k panchnad k sath koi bhi sambandh humein pasand nhi hai...
Abhisara : aap iske chinta na karein...hum to aap hi k mitra hai..panchnad k rajkumari ka yahan hona bas ek sandesa hai hamare shatru k prati k humare bich sab thik hai...sikandar k ane se purvye hamare suraksha k liye avashyak kutniti hai aur kuch nhi...
Ambhik : thik hai..parantu apke putra ko samjhaiye ..us vanvasi k sath rehte rehte ye bhi usike bhasha mein baat karne laga hai..
then he looks at Digvijay for once..Digvijay also stared to him with fire in his eyes...then Ambhik smiled and left the place...
Digvijay turned towards his father
Digvijay : pitasree humein apse ekant mein kuch baat karna hai...
Abhisara : hum jante hai tum kis vishay pr baat karna chahte ho...rajpurohit ne abtak tumse rajkumari k bare mein sabkuch keh chuke honge...
Digvijay : pitasree humein viswas nhi ho raha hai k aap hamari Dhara k vivah us desdrohi Ambhik ke sath tayar kiya hai...ek pita hoke apnehi kanya k vavishya k sath aisa khilwar kaise kar sakte hai aap??
Abhisara : ye rajneeti hai putra..aap jante hai kumar ke rajparivaar mein vivah ek rajnaitik krira k atirikt aur kuch bhi nhi hai...is samay kamboja k sthiti aise hi hai gandhar k mitrata unke liye avashyak hai
Digvijay : han hum ye jante hai pitasree..parantu hum nhi mante aise rajneeti ko jo hamare phool si rajkumari ke jivan nast kar de...pitasree hum achi tarah se gyat hai k aap gandhar k kalank Ambhik ko kanik bhi pasand nhi karte ..to dhara aur ambhik k vivah ka sidhanth kaise le sakte hai aap...
Abhisara : to hum kya karein kumar...sikandar ke atank hum simant prades k rajya par anewale pralay k sanket banke cha gaya hai...aise mein yadi sikandar k mitra gandhar se shatruta karein to hamare parinam bhi puskaravati aur anya pradeshon k jaise hi honge..
Digvijay : pitasree hum aapse shatruta karne k liye nhi keh rahe hain..parantu ye mitrata hamare Dhara k jivan k mulya pr bi nhi ho sakta...
Abhisara : to tum ky chahte ho...
Digvijay : bas thora sa samay chahte hai pitasree..humein acharya Chanakya aur apna mitra Chandragupt pr pura visvas hai...vo avashya hi sikandar k gati rudhha karne k liye kuch yojna banayenge...ap baas kal hamare avishek k samay Dhara ka vivah k ghoshna mat kijiye...
Abhisara : yadi aisa ho to humse adhik khushi aur kisiko nhi honge..parantu hum Ambhik ko kya kahenge???
Digvijay : yehi kahiye k jyotishi ne ka hai 15 varsh se purv yadi Dhara ka vivah hua to uske pati ka mrityuyog hai...Ambhik avasya hi apeksha karne k liye prastut ho jayega...aur in 3 varshon mein sikandar k atank humesha humesha k liye samapt ho jayega yadi acharya k vabhisyabani pr visvaas kare to...
Abisara : thik hai putra jaisa tum thik samjho...parantu itna smaran rakhana gandhar aur panchnad dono hi hamare shaktishali prativeshi hai..humein kutnitise in dono rajya ko hi santust rakhana padega
Digvijay : aap apne putra pr viswas rake pitasree..hum aapko nirash nhi karenge..
Abhisara : vijayi bhava putra...
Digvijay touched his Abhisara's feet and leaves the place...
Digvijay comes to Dudhara's mahal to see her as he got lots of tension about her...but Durdhara already fell asleep due to the exhaustion of the whole day..Subhadra was sitting beside her..she stood up watching Digvijay
Subhadra : kumar aap??
Digvijay : han Bhadra..humein Dhara ki chinta ho rahe the...parantu Dhara itni shighra so gayi??sab thik hai na??
Bhadra : aap chinta na kare kumar...rajkumari ka aj vrattha na...pura din upbas kia tha..to isliye parishrant ho gayi thi..vaidne oshodhi deke visram karne ke liye kaha...
Digvijay looked at sleeping Dhara's face..which was looking more innocent and divine...he kept his hand on Dhara's head and bent on his knees..beside her bed...Bhadra left the room for brother and sister and stood at the door...
Digvijay : hey Visnu bhagwan hamare Dhara ka raksha karna...uske saralta pr koi anch na ani paye...jabtak hum jeevit hai hum apni Dhara k sath koi anyay nhi hone denge...aur hamein pura viswas hai iswar ne hamare Dhara k liye avashya hi kisi yogya patra banaye hain..jo har vishay mein sarvshreshth hoga...rajjyotishi k bhavishyabani avashya satya honge...hamari Durdhara ki janam is itihas ke mahan abirvabon mein sahiyog dene ke liye hui hai...ye avashya satya hoga...
and then he recalled about the forecast and his eyes became watery.
Digvijay : parantu...ye satya hua to rajjyotishi ne Dhara ke ayu ke bare mein jo bhavishyabani kiya tha vo...nhi hamare Dhara ko kuch nhi hoga...hamein viswas hai Dhara k raksha karne wale yehin kahin hai...vo avashya ayenge...
and he kissed on Dhara's forehead...and left her room..
..in atithigriha after the grand supper all boys were making fun of Chandragupt...as Shashank told them about the varmala incident...and Chandu is feeling irritated
Aditya : are Chandragupt tumne to ye bataya hi nhi ke prasad mein ate hi tumhare samna kisi kanya se hua hai...vo bhi unmad kanya??
Ghanghor : samna nhi kaho sangharsh..vo bhi rang aur pusppallav ke sath
Airavat : parantu ye to kaho vo kanya sundar thi ya nhi??
Akshay(confused) : parantu mitron humein ye samajh nhi a raha ke ek kanya se sangharsh hua to aise kya samasya utpann ho gaye??..Chandragupt ko koi bada chot to nhi laga...
Shashank : Akshay tumhe kitni baar keh chuke hai kanyao k vishay pr alochana mein bhag mat lo...parantu tum to suntehi nhi...
Chandragupt (irritated) : tum sab kya keh rahe ho humein kuch samajh nhi a raha hai...aap sab soch vichar karte rahiye..hum ja rahe hai bahar...yadi ek muhurt bhi yahan rahe tu aap sab milke humein bhi us unamad kanya ke tarah mansik rup se aswasth bana doge...
and he left the place...
Akshay : are koi roko Chandragupt humese asantust ho gaye...
Shashank :are jane do use..kuch samay shital malay ka sevan karenge to shant ho jayenge..
Aditya : parantu hum Chandragupt k alochana mein itna kho gaye k hamare ek aur premi ko to smaran mein hi nhi rakha..
Ghanghor : kiske baat kar rahe ho ??
Aditya turned towards Sukant
Aditya : kyun Sukant apne swapnasundari ke vishay apne mitro se nhi kahoge???
Sukant (smiled) : kya bataye mitron...humein to kabhi kabhi pratit hote hai vo satya mein hi ek swapna hai..warna bar bar hamare samne akar bhi kahan kho jati hai???
Airavat : koi baat nhi Sukant...kal abhishek k samay vo avashya hi milegi...tab hum phirse use kabhi khone nhi denge
and everyone except Akshay burst into laughter
Chandragupt came to the garden to take fresh air..as he was feeling much irritated
Chandu : hamein samajh mein nhi a raha k hamare mitron ko ho kya gaya hai...jab dekho us unmad kanya k bare mein baat karte rehte hai...
and suddenly he felt that he is not alone in garden...someone is there too..he became conscious in second and hided himself behind a tree...and when the shadow came closer to him he jumped on him...and made him lie down on the land...and in then became astonished by watching his face in moonlight...he is none other than Digvijay...
Chandragupt : Digvijay tum...itne gehri raat mein bina suraksha k udyan mein kya kar rahe ho...
Digvijay : Chandragupt ye sawal hum bhi tumse kar sakte hai...aur tumhe smaran dilaye ke hum yahan k rajkumar hai...hum kahin bhi kaise bhi kisi bhi samay ja sakte hai...
Chandu : humein kshama karna mitra..hum to aise hi bayu seban ke liye aye the..acharya ne shikhaya hai sada sachet rehne k liye..akraman kisi bhi disha se a sakte hai..
Digvijay : gyat hai humein ..parantu ab jab tum jan gaye ho ke hum koi akramankari nhi hai to abhitak humare upar kyun baithe huye ho...ab utho aur hamein bhi uthne do...rajkumar aise udyan pr bhumisajya lete hue shobha nhi dete
Chandu immediately stood up from Digvijay..and Digvijay also stood from land..
Chandu : kshama karna bandhu...tumhein chot to nhi aya??
Digvijay : nhi hum thik hai chandragupt
Chandu : parantu tum kis soch mein khoye hue the k hum tumhe dikhai nhi diya??
Digvijay : ab tumse kya chupana bandhu...hum nhi jante the hamare anupasthiti mein kamboja mein itna kuch ho gaye...aj hamein gyat hua ke hamare pitasree ne sikandar k vashyata swikar karte huye sandhipatra bhej diya...aur gandhar k sath mitrata ke praman swarup rajkumari k vivah us desdrohi Ambhik k sath karwane chale hain...
Chandu : humein ye gyat hai Digvijay...
Digvijay : tumhe gyat hai??parantu kaise??
Chandu : acharya k patra se...wahi patra jo acharya panchnad kumari Kalyani ke hathon hamare liye bhijyaye hain...kamboja k guptcharo se acharya ko ye suchna pehlehi mil chuka tha...
Digvijay : parantu hum aisa nahi hone denge Chandragupt..us nich desdrohi Ambhik k haton hum aapne hriday k tukre ko nhi sanp sakte..phir chahe jo ho jaye...
Chandu : tum chintit na ho mitra ..hum sarvada tumhare sath hai...hum tumhare pura sahayata karenge ..parantu hum ye janna chahte hai kya abhisara bhi gandhar ke tarah Sikandar ke vasyata swikar kar Bharat k bhumi k sath viswasghat karenge??
Digvijay : kadapi nhi...ye matra ek rajnaitik yojna hai..apne praja ke suraksha ke karan hum sikandar ke shatruta leke vinash ko amantrit nhi karenge..parantu sikandar virudha bharatiya rajya ke yudh mein hum avashya har tarahse sahiyog denge...
Chandu : humein acharya chanakya k ek shishya se yehi apeksha tha...
and he hugs Digvijay...
Digvijay : ab jao so jao..kal hamare janamtithi aur abhishek utsav mein bhag lena hai ya nahi??
Chandu : han aur tum bhi jao..kal tumhare jivan k ek baht bare din hai..baht sare naye jimmedariyan ane wale hai..aj k raat visram le lo..
and both of them left
No comments:
Post a Comment